COMMON SERVICE CENTRE

कमर जन सुविधा केंद्र कटिया कम्मू शाहजहाँपुर उत्तर प्रदेश भारत

नियर नूरी जमा मस्जिद E-MAIL- sherjsk.khan@outlook.com
WELCOME TO KAMAR JAN SUVIDHA KENDRA

ZIKRE WILADAT-E-MUSTAFA

 ZIKRE WILADAT-E-MUSTAFA

AETERAAZ NO - 2: Kya SAHABA-E-IKRAAM Ne MILAAD MANAYA? Agar NAHI MANAYA TOH Yeh BIDDAT Hai. JAWAAB NO - 1: Sabse PEHLE Toh YEH JHOOTH BAAT Hai Ke SAHABA Ne MILAAD NAHI MANAYA. Balke SAHABA Ne MILAAD Ka ZIKR HAMESHA KIYA Hai. Kyunki Agar Woh MILAAD (PEDAAISH) Ka ZIKR NAHI KARTE Toh ALLAH Ke RASOOL ﷺ Ki PEDAAISH Ke WAAQYAAT Aur MAUJZAAT Aaj HAM TAK NA POHONCHTE. Aur JAB SAHABA Ke SAAMNE HUZUR ﷺ Ki PEDAAISH Ka ZIKR Hota Toh Woh GAMGEEN NAHI HOTE The BALKE KHUSH HUA KARTE. JAWAAB NO - 2: Hazrat Sayyaddina IMAM TIRMIZI رضي الله عنه Ne KHUD Apni HADEES Ki KITAAB “SUNANE TIRMIZI” Me Ek BAAB (PART) “MILAADUN NABI ﷺ” Ka KAAYAM KIYA Aur Usme Woh HADEESE BAYAAN Ki JISME ALLAH Ke RASOOL ﷺ Ne APNI WILAADAT Ke WAAQYAAT Ka KHUD ZIKR Farmaya Hai. HAA! Yeh ALAG BAAT Hai Ke JIS TARAH AAJ HAMARE ZAMAANE Me MILAADUN NABI ﷺ MANANE Ka TARIKA RAYAJ Hai, BILKUL WAISE Hi SAHABA Ke ZAMAANE Me NA THA. LEKIN IS BINA PAR Ise NA JAYAZ Aur HARAAM KEHNA Saraasar DEEN, QURAN-O-HADEES Ke SAATH ZYAADATI Hai. Kyunki ALLAH Ke RASOOL ﷺ IRSHAAD FARMATE Hai HALAAL WOH HAI, Jo ALLAH ﷻ Ne APNI KITAAB Me HALAAL Kiya. Aur HARAAM WOH HAI, JISE ALLAH ﷻ Ne APNI KITAAB Me HARAAM FARMA Diya Aur JISKE BAARE Me KUCH ZIKR NA FARMAYA Woh ALLAH ﷻ Ki TARAF Se BANDO KE LIYE MUBAAH HAI Yaani JAYAZ Aur HALAAL Hai. JAWAAB NO - 3: MISAAL: AGAR Fir Bhi NAHI MANTE Ho Aur BIDDAT KEHTE HO Toh AISI BOHOT Si CHEEZEIN BIDDAT Hai. Jo RASOOLLALLAH ﷺ Aur SAHABA Ke ZAMAANE Me NAHI Thi. Jaise Ke QURAN Me ZAIR, ZABAR, Aur PESH Ka HONA Bhi BIDDAT Hai. MADAAREES Me USTAAD Ko TANKHWA DENA Bhi BIDDAT Hai. MASJIDO Ko SAJAANA, AC Lagana, TILES Lagana Bhi BIDDAT Hai. STAGE Banakar, POSTER, BANNER Lagakar IJTEMA Karna Bhi BIDDAT Hai. IMAAMO Aur MOAZZIN Ko TANKHWA Dena Bhi BIDDAT Hai. MAKKAH Aur MADINE Me TAAJUD Ki AZAAN HOTI HAI Yeh Bhi BIDDAT Hai. MIC Par NAMAAZ PADHNA Bhi BIDDAT Hai. VIDEO Me AAKAR BAYAAN Karna Bhi BIDDAT Hai. SAUDI Ka NATIONAL DAY MANANA Aur Is KHUSHI Me DUNIYA Ka SABSE BADA CAKE KAATNA Bhi BIDDAT Hai. LEKIN AAJ YEH SAB KAAM WOH LOG Bhi KARTE Hai, JO MILAADUN NABI ﷺ MANANE Ko BIDDAT KEHTE Hai.
Share:

No comments:

Post a Comment

अपना सुझाव दर्ज करें l Please Enter Suggestion

Contact Form

Name

Email *

Message *