SHAAN-E-GAUSE AAZAM
QURAN
PARA NO-11, RUKU NO-11, SURAH-YUNUS, AAYAT NO-62 & 63. TARJAMA: SUNLO BESHAK ALLAH ﷻ Ke WALIYON Par NA Kuch KHAUF Hai, NA Kuch GAM. Woh Jo IMAAN Laye Aur PARHEZGAARI Karte Hai. NOTE: Is AAYAT Me AULIYA-E-IKRAAM Ki SHAAN BAYAAN Ki Gayi Hai. Ke ALLAH ﷻ Ke WALIYON Ko NAA Hi Kuch KHAUF Hota Hai Aur NA Koi GAM. Aur ITTEFAAK Ki BAAT Yeh Hai Ke Yeh AAYAT PARA NO-11 Ke RUKU NO-11 Me Hai.
HADEES:
ATTARGEEB WAT TARHEEB, VOL-3, HADEES NO-3, PG NO-390.
Imam MUNZARI Likhte Hai Ke Hazrat ABDULLAH Ibne UMAR رضي الله عنه Se Riwayat Hai ALLAH Ke RASOOL ﷺ Ne Irshaad Farmaya Aye LOGO ALLAH ﷻ Ke Kuch MAKHSOOS (KHAAS) BANDE Aise Hai, JINKO ALLAH ﷻ Ne LOGO Ki HAAJAT PURI KARNE Ke Liye PAIDA Kiya. ALLAH Ke NABI ﷺ Farmate Hai LOG GHABRAYE Hue, PARESHAAN HAAL Apne HAAJATO Ki TALAB Me UNKI TARAF JAATE Hai. Aur ALLAH Ke RASOOL ﷺ Farmate Hai YEH WOH LOG Hai Ke JINKE Sabab (WAJAH) Se DUNIYA Me AMAAN Hai (Yaani AZAAB INKI WAJAH Se NAHI Hota).
IMAM TABRANI NE MAUJAMUL KABIR, VOL-10, PG NO-217, HADEES NO-1,518.
IMAM ABU YAALA NE AL-MUSNAD, VOL-9, PG NO-177, HADEES NO-5,270.
IMAM DAILMI NE MUSNADUL FIRDOS, VOL-1, PG NO-330, HADEES NO-1,311.
IMAM HAISAMI NE MAJMAUZ ZAWAAID, VOL-10, PG NO-132.
No comments:
Post a Comment
अपना सुझाव दर्ज करें l Please Enter Suggestion