COMMON SERVICE CENTRE

कमर जन सुविधा केंद्र कटिया कम्मू शाहजहाँपुर उत्तर प्रदेश भारत

नियर नूरी जमा मस्जिद E-MAIL- sherjsk.khan@outlook.com
WELCOME TO KAMAR JAN SUVIDHA KENDRA

Itikaf Ki Fazilat

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ بِسْمِ

Assalaamu Alaykum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu

Assalaatu Wassalaamu Alayka Ya Rasoolallah Sallal Laahu Ta'ala Alaika Wa Sallam
Itikaf Q&A – Jamiatul Ulama KZN

Itikaf Kya Hai ? “Masjid Me ALLAH Taala Ki Raza kay liye Ba Niyat E Itikaf Taherna I’tikaf Hai, Iske Liye Musalman Ka Aakil Aur Janabat Aur Haiz O Nafas Se Paak hona shart Hai, Bulugh (Major) Hona Shart Nahi Hai Agar Baaligh bhi Jo Tameez rakhta Hai Agar Baa Niyat E I’tikaf Masjid Me Thahre To Uska Itikaf Sahih hai” (Fatawa Alamgiri Vol : 01, Pg : 211)
Itikaf Purani Ibadat Hai Jo Pichli Ummat Me Bhi Mauzood Thi
Quran E Karim Me Allah Taala Irshad Farmaya hai وَعَهِدنا إِلىٰ إِبراهيمَ وَإِسماعيلَ أَن طَهِّرا بَيتِيَ لِلطّائِفينَ وَالعاكِفينَ وَالرُّكَّعِ السُّجودِ “Aur Humne Taakid Farmayi Ibrahim Wa Ismail Ko Mera Ghar Khoob Suthra Karo Tawaaf Waalo’n Aur Itekaf Waalo’n Aur Ruku Wa Sujood Kay Liye” (Surah Baqarah Ayat 125) Aur Itikaf Is ummat me bhi mauzood hai iski badi fazilat hai hadees e paak me, lihaja zindagi me har musalman ko kam az kam ek baar to jarur Itikaf karna chahye Kay ye Nabi E Karim ﷺ Ki Azeem Sunnat Hai. Itikaf Ki 03 Kisme Hai


01) I'tikaf Wajib → I'tikaf Ki Nazr Mannat Mani Jaban Se Kaha Mai Allah Taala Ki Riza Kay Liye Falan Din Ya Itne Din Ka Itikaf Karunga, To Ab Jitne Bhi Din Ka Kaha Utne Din Ka Itikaf Karna Wajib Hogaya, Yeh Baat Khas yaad rahe kay jab bhi kisi kism ki mannat mani jaaye Usme Shart yeh hai kay Mannat Kay Alfaz Jaban Se Ada Kiye Jaaye Sirf Dil hi Dil me mannat karlene se Mannat Sahih Nahi hoti (Aisi Mannat ka pura karna wajib nahi hota” (Raddul Muhtar, Vol : 03, Pg : 430) Hadees 01:
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Hazrat Umar Radiallahu Anhu Ne Huzoor Sarwar E Kainat ﷺ Se Daryaft Kiya Maine Daur E Jahiliyat Me Mannat Mangi Thi Kay Khana E Kaaba Me EK Raat Ka Itikaf Karunga, Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Apni Mannat Puri Karo”
(Sahih Muslim, Kitab Al Ayman, #1656)
(Sunan Nasai, Kitab Al Ayman Walnudhur, #3820, #3821, #3822)
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Siyam, #2474, Kitab Al Aiman Wa Al Nudhur #3325)
(Imam Tirmizi Jamai, #1539) (Sunan Ibn Majah #2129)
02) I'tikaf Sunnat  → Ye Wo I’tikaf Hai jisko Ramzanul Karim Me rakhne ki takeed ki jaati hai aur iski hi badi fazilat hadees e paak me hai chunache isko rakhne ki kuch shartein bhi hai jo hum aage likhenge.
“Ramzanul Mubarak kay Aakhri Ashre Ka I'tikaf SUNNAT E Muakkadah Alal Kifayah hai” (Durr E Mukhtar Maa Raddul Muhtar, Vol : 03, Pg : 430) “Yaani Agar Pure Shaher Me Kisi Ek Ne Bhi Kar Liya To Sabki Taraf Se Ada Hogaya Aur Agar Kisi Ek Ne Bhi Nahi Kiya To Sabhi Muzrim Huwe” (Bahar E Shariat, Hissa Panjum, Pg : 152) Kon Kon Ye Sunnat E I’tikaf Rakh Sakta Hai : “Masjid Me ALLAH Taala Ki Niyat kay liye Ba Niyat E Itikaf Taherna I’tikaf Hai, Iske Liye Musalman Ka Aakil Aur Janabat Aur Haiz O Nafas Se Paak hona shart Hai, Bulugh (Major) Hona Shart Nahi Hai Agar Baaligh bhi Jo Tameez rakhta Hai Agar Baa Niyat E I’tikaf Masjid Me Thahre To Uska Itikaf Sahih hai” (Fatawa Alamgiri Vol : 01, Pg : 211) Mard Aur Aurat Dono hi rakh sakte Hai Mard Ko Masjid me I’tikaf Karna Hai Aur Aurat Ko Ghar Me (Ghar Me Aurat Ek Jagah Ko Makhsoos (Fix) Karle) Jisko Masjid E Bait Kahte Hai. Sunnat E I'tikaf Kab Se Shuru Hota Hai : “Is Ramzan Me Ye Jaruri Hai Kay Ramzan Ki Beeswi (20) Tarikh ko Gurub e aftab (Suraj Dubne) Se pahle pahle Masjid Kay andar Baa Niyat I’tikaf Mauzood Ho Aur Aur Untees (29) Kay chand kay bahar yaa 30 kay Gurub E Aftab Kay baad Bahar Masjid Se Bahar Nikle”  (Bahar E Shariat, Hissa Panjum, Pg : 151) Sunnat E Itikaf Ki Shart : i) Masjid Me Agar Suraj Dubne kay baad pahucha aur Dil me niyat bhi hai I’tikaf ki tab bhi Sunnat E I’tikaf Naa Huwa iska shumar Nafl me hojayga. ii) Masjid Me Suraj Dubne Se Pahle Haazir to huwa par niyat naa ki to bhi na huwa. iii) Masjid me Suraj Dubne se pahle haazir hojaye aur niyat karle, Niyat Aisi Karen “Mai Allah Rabbul Izzat ki Raza Kay liye Ramzanul Mubarak Kay Aakhri Ashre Kay Sunnat I’tikaf Ki Niyat Karta Hoon”

03) Itikaf E Nafl → “Nazr Aur Sunnat E Muakkadah kay elawa jo Itikaf Kiya Jaaye Wo Mustahab (Yaani nafli) Wa Sunnat E Gair Muakkadah Hai” (Bahar E Shariat, Hissa Panjum, Pg : 152) Hadees 02 : “Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ramzan Kay Akhri Ashre Me Itikaf Kiya Karte They” (Sahih Bukhari, Kitabul I'tikaf, #2025) (Sahih Muslim, Kitabul I'tikaf, #1071) Hadees 03 : “Hazrat Ayesha Ummul Momineen Radiallahu Anha Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ramzan Kay Aakhri Ashre Me Itekaf farmaya karte yahan tak kay Aap Ka Wisaal E Jahiri Hogaya,Phir Aap Kay baad Azwaje Mutahirat Itekaf Karte Rahi” (Sahih Bukhari, Kitabul I'tikaf, #2026) (Sahih Muslim, Kitabul I'tikaf, #1172) (Sunan Abu Dawood, Vol : 02, Pg : 331, #2462) (Imam Tirmizi Sunan, Vol : 03, Pg : 157, #790) (Imam Ibn Majah Sunan, Vol : 01, Pg : 564, #1773) Hadees 04 : “Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah ﷺ Kay Aakhri Ashem Me I’tekaf Kiya Karte They, Hazrat Hafaye Kahte hai Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Ne Mujhe Masjid Me Woh Jagah Dikhaye Jahan Rasoolullah ﷺ I’tekaf Farmaya Karte They” (Sahih Muslim, Kitabul I’tikaf, #1171) (Sunan Abu Dawood, Vol : 02, Pg : 332, #2465) (Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Pg : 564, #1773)

Hadees 05 :
“Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Kay Huzoor Nabi E Akram ﷺ Har Saal Ramzan Ul Mubarak Me 10 Din Itikaf Farmate They, Aur Jis Saal Aap Ka Wisaal Huwa Us Saal Aap ﷺ Ne 20 Din Itikaf Kiya”
(Sahih Bukhari, Kitabul Itikaf, #2044) (Sunan Abu Dawood, Vol : 02, Pg : 332, #2466) (Imam Ibn Majah Sunan, Vol : 01, Pg : 562, #1769) (Imam Ahmad Ibn Hanbal Musnad, Vol :02, Pg : 336, #3343) (Imam Darimi Sunan, Vol : 02, Pg : 43, #1779)

Hajj Wa Umrah Ka Sawab Hadees 06 : “Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi ﷺ Ne Irshad Farmaya Jisne Ramzan Ul Mubarak Me 10 Din Ka Itikaf Kar Liya Woh Aisa Hai Jaise Do Hajj Aur Do Umraah Kiye” (Imam Tabarani Al Mu’jam Ul Kabir, Vol : 03,Pg :128, #2888) (Imam Bayhaqi Shoebul Imaan, Vol : 03, Pg : 425, #2966) (Imam Haythami Majma Uz Zawaid, Vol : 03, Pg : 173)
Hadees 07 :
Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Itikaf Karne waala Gunaho Se Bacha Rahta Hai Aur Uske Liye Tamam Nekiya Likhi Jaati Hai, Jaisa Unke Karne Waale Kay Liye Hoti Hai”
(Sunan Ibn Majah, Vol : 02, Pg : 365, #1781)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus, Vol : 04, Pg : 207, #6632)
Hadees 08 :
“Hazrat Hasan Basri Radi Allahu Anhu Se Manqool Hai Mottaqif Ko Har Roz Ek Hajj Ka Sawab Milta Hai” (Imam Bayhaqi Shoebul Imaan, Vol : 03, Pg : 425, #3968)
Ek Din Kay Itikaf Ki Fazilat
Hadees 09 :
“Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Huzoor Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Jo Shakhs Allah Pak Ki Raza Ke Liye Ek Din I’tikaf Karta Hai Allah Taala Us Ke Aur Dozakh Ke Darmiyan Tees (30) Khandakon Ka Faasla Kar Deta Hai, Har Khandak Mashriq Se Magrib Ke Darmiyani Faasle Se Jyaada Lambi Hai.”
(Imam Tabarani Al Mu’jam al Awsat, Vol : 07, Pg : 220, #7326) (Imam Munziri At Targhib Wat-Tarhib, Vol : 03, Pg : 263) (Imam Haythami Majma uz Zawaid, Vol : 08, Pg : 192) (Imam Suyuti Durr Al Manthur Vol : 01, Pg :486)
Share:

No comments:

Post a Comment

अपना सुझाव दर्ज करें l Please Enter Suggestion

Contact Form

Name

Email *

Message *