COMMON SERVICE CENTRE

कमर जन सुविधा केंद्र कटिया कम्मू शाहजहाँपुर उत्तर प्रदेश भारत

नियर नूरी जमा मस्जिद E-MAIL- sherjsk.khan@outlook.com
WELCOME TO KAMAR JAN SUVIDHA KENDRA

Sehri Kay Fazail Wa Masail


Sehri ky Fazail/Fazail E Ramzan #Ramzan#Sehri#Islam#Quran - YouTube Sehri Kay Fazail Wa Masail

Hadees 01 :
“Hazrat Amr Ibn Al Aas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Hamare aur Ahle Kitab Kay Darmiyan Sehri Khana Farq Hai”
(Sahih Muslim, Kitab Al Sawm, #1096)
(Sunan Nasai, Kitab us Sawm, 2166)
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Sawm, #2343)
(Jamai Tirmizi, Kitabus Sawm, #709)
(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Fazail, #1232)
Is rivayat se maloom huwa kay hamare aur Ahle Kitab Yahud Nasara kay darmiyan Sahri ka khana Farq hai lihaja sahri karna chahye chunki isme barkat hai.
Hadees 02 :
“Hazrat Irbaz Ibn Sariya Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Jab Bhi Apne Saath kisi sahabi ko Sahri khane bulate to is tarah bulate Aao Barkat Ka Khana Kha Lo”
(Sunan Nasai, Kitabus Sawm, #2163)
(Sunan Abu Dawood, Vol :02, Pg :444, Kitabus Sawm, #2344)

Hadees 03 :
“Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Allah Kay Nabi ﷺ Ne Irshad Farmaya Sahri Khaya Karo Sahri Me Barkat Hai”
(Sunan Nasai, Kitabus Sawm, #2147, #2149, #2150, #2164)
(Sahih Muslim, Kitabus Sawm, #1923)
Imam Bukhari Rahmatullah Alaih ne issi hadees ko Apni Sahih Me Naql Kiya hai dusri sanad se ek Baab kay andar
Hadees 04 :
“Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Sahri Kiya Karo kyuki isme Barkat Hoti Hai”
(Sahih Bukhari, Kitabus Sawm, Baab : باب بَرَكَةِ السَّحُورِ مِنْ غَيْرِ إِيجَابٍ, Sahri Me Barkat Hai Par Ye Wajib Nahi Hai, #1923)
(Sunan Ibn Majah, Kitabus Sawm, #1692)
Hadees 05 :
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Rasoolullah
Ne Irshad Farmaya Allah Aur Uske Farishte Sehri Khane Waale Par Rehmat Farmate Hai”
(Sahih Ibn Hibban, Vol : 05, Pg : 194, #3458)
Hadees 06 :
“Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Rasoolullah Ne Irshad Farmaya Roza Rakhne Kay Liye Sehri Kha Kar Quwwat Hasil karo Aur Din (yaani dopehar)Kay waqt Aaram (Yaani Kailula) karke raat ki ibadat kay liye taqat haasil karo”
(Sunan Ibn Majah, Kitabus Sawm, Vol : 02,Pg : 321, #1693)

Hadees 07:
“Sehri Barkat ki Cheez Hai Jo Allah ne Tum ko Ata Farma’ee Hai, Isko Mat Chorna”
(Imam Bayhaqi As Sunan Al-Kubra Vol : 02, Pg : 79 #2472)

Hadees 08 :
“3 Aadmi, Jitna bhi Khaaley Insha’Allah unse koi Hisaab Na Hoga, bashart ye ke Halaal Ho. 1) Rozeydaar Iftaar ke waqt 2) Sehri khaaney wala 3) Mujaahid, Jo Allah Ke Rastey me Sarhad-E-Islaam ki Hifazat kare”
(Imam Munziri At-Targheeb Wat Tarheeb Vol : 02, Pg : 90  #9)

Hadees 09 :
“Sehri puri ki puri Barkat Hai. Bas Tum Na Choh’ro Chahey Yehi Ho ki Tum paani ka Ek ghoon’t pee lo ! Beshak Allah aur uske farishtey Rahmat bhejtey Hai Sehri karne walo par”
(Imam Ahmad ibn Hanbal Al Musnad Ahmad Vol : 04, Pg : 88 #11396)

Hadees 10 :
"Hazrat Jabir Radiallahu Anhu farmatey hai ki Ek dafa Ramzan me RasoolAllah ﷺ ne mujhe apne sath Sehri khaney ke liye bulaya Aur farmaya : Aao Mubarak Naashtey ke liye”
(Sunan Abu Dawood Vol : 02, Pg : 442, #3458)

Hadees 11 :
“Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu farmatey hai Aap ﷺ Sehri ke waqt Mujh se farmate Mera Roza rakhne ka Irada hai, Mujhe kuch khilaao ! toh Mai kuch khajoor aur Ek bartan me Pani pesh kiya”
(Imam Nasai Sunan Al-Kubra Vol : 02, Pg 80 #2477)

Hadees 12 :
“Syedina Sahib bin Yazid Radiallahu Anhu se marvi hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya khajur Momin ki behtareen sehri hai”
(Imam Tabarani Al Mu'jam kabir Vol : 3 Pg : 109 #6689)

Hadees 13 :
"Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se rivayat Hai Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya khajur momin ki kya hi achi sehri hai”. (Sunan Abu Dawood Vol : 02, Pg : 443 #2345)  

Sehri Kay Mutallik Ahem Masle Masail Upar bayan karda in tamam hadees e paak se maloom huwa banda e momin kay liye sehri kitni ahemiyat wa barkat ka sabab hai lihaja faqat neend kay liye sehri ko chod dena durust nahi hai, Sehri Karna Sunnat hai, aur Sunnat Par Amal Sawab hai, jaan buch kar Sehri naa Karna Khilafe Mustahab Hai. Sawal 01 :
Kya Sehri Naa Kiya To Roza Nahi Hoga ? “Sehri Roze ke liye Shart Nahi Hai ! Sehri ke bagair bhi Roza Ho Sakta Hai ! Lekin Jaan-buj kar Sehri Nahi Chorh’ni Chahiye:
(Imam Mulla Ali Qari Sharh Mishkat ul Masabeeh Vol : 04, Pg : 477)
Sawal 02 : Sehri ka Waqt Kab Tak Hota Hai ?
Hadees 14:
“Hazrat Yaala Ibn Murra Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Teen Chiz Ko Allah Taala Mehboob Rakhta Hai Iftar Me Jaldi Karna, Sehri Me Taakhir Karna Aur Namaz (k Kiyam) Me Haath par Haath Rakhna”
(Imam Munziri Targheeb Wat Tarheeb Vol : 02, Pg : 91, #04)
Hadees E Paak Se Maloom huwa kay Sehri me takhir karna afzal hai magar takhir kaa maana ye bhi nahi kay itna der tak khaye kay Azaan E Fazr Hojaye balki abto pahchana aasan hai Ramzan Card me dekhe aur time se kam az kam 05 min pahle hi khana pina band karde.

Kayi logo ko ye bhi galat fehmi hai kay Azaan hone tak sehri ka waqt hota hai jabki azaan se sehri kay waqt ka talluk nahi hai Azaan to Namaz E Fazr Kay liye hoti hai naaki Sehri kay liye.

Hadees 15 :
“Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Wo Farmate Hai Allah Kay Rasool ﷺ Aur Zaid Ibn Saabit Radiallahu Anhu Ne Ek saath Sehri Farmayi, Aur Phir Namaz E Fazr kay liye khade huwe, Maine Arz Ki Azaan Aur Sehri Kay Darmiyan Ka waqfa kitna hota,
Hazrat Zaid Ibn Saabit Radiallahu Anhu ne farmaya Itna Waqfa kay 50 Aayat E Qurani ki tilawat farma lete”
(Imam Bukhari As Sahih, Kitabus Sawm, Baab : Namaz E Fajr Aur Sehri Ke Darmiyan waqfa ka bayan, #1921)
(Sahih Bukhari, Kitab Mawaqit Salat, #576)
(Sahih Muslim, Kitabus Sawm, #1097)
(Sunan Nasai, Kitabus Sawm, #2156, #2157, #2155, )
(Sunan Ibn Majah, Kitabus Sawm, #1694)
Is Hadees E Paak Se wajeh hojata hai kay Sehri Aur Azan E Fazr kay darmiyan itna waqfa hota kay 50 aayat e karima Aasani se tilawat hosakti jo kam az kam 10 min se zyada ka waqfa banta hai lihaja ahtiyat isme hi hai kay kam az kam 15 20 min pahle hi Azaan se Sehri khana pina band karde.
Sehri Kay Waqt Kuch Aasan Amal
01) Sabse Pahle Jab Uthe To Waju Karke Namaz E Tahajjud Ada Karen, Kay Tahajjud Ki Namaz 02 Rakat Se Lekar 12 Rakat tak hoti hai jaisa sahulat ho waisa padhe.
02) Ye Dua Jarur Ba Jarur Padhe
“Laailaaha Illallaahul Hayyul Qayyumul Qaaimu Alaa Kulli Nafsin Bimaakasabat”
Fazilat : “Jo koi Sehri Kay Waqt 07 Baar Ye Dua padhe Allah Taala usse Aasman Kay har Sitare kay Badle Ek Ek Hazar Nekiya Ata Farmayga Aur Utne Darje badhayga Aur Utne hi gunah mitayaga” (Anisul Waizeen)
03)“Sehri Kay Waqt Khane me Khajur Ka Istemal Jarur Kare’n Kay Iski Bahot Fazilat Hai aur Sunnat Bhi Hai Sehri Ka Sawab bhi milega hi aur Sunnat ko Ada karne ka Sawab bhi milega”
Share:

1 comment:

  1. Nice Blog thanx for sharing. we rachna fasteners Din Standards,ISO 898 PART 1,DIN 603,DIN 604,DIN 976-A,DIN 912,DIN 931,DIN 933,DIN 6914,DIN 6921,DIN 7991,DIN 444-B,DIN 960 ,DIN 961,DIN 7990,DIN 558,DIN 6912,DIN 605,DIN 934,DIN 6923,DIN 9021,DIN 6916,DIN 436,DIN 126,DIN 127 B,DIN 125A,IS 1363 Part 1,IS 1363 Part 2,IS 1363 Part 3,IS 1364 Part 5,IS 2269,IS 2609,IS 3757,IS 6761,IS 5369,IS 6623,IS 12427,EN 14399,EN 15048,BS 4320,BS 7419 SQ SQ,NFE 25513.

    DIN 444-B
    DIN 960
    DIN 961
    DIN 7990
    DIN 558
    DIN 6912
    DIN 605
    DIN 934
    DIN 6923
    DIN 9021

    ReplyDelete

अपना सुझाव दर्ज करें l Please Enter Suggestion

Contact Form

Name

Email *

Message *