POST NO - 1:
SHAAN-E-AALA HAZRAT HADEES: KANZUL UMMAL, VOL-10, PG NO-229, HADEES NO-29,209. Hazrat Imam Hasan رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Marvi Hai Woh Farmate Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Irshaad Farmaya “Allah عزوجل Ki Rehmat Ho Mere Khulfa Par”. Imam Hasan رضي الله عنه Kehte Hai Ke Nabi ﷺ Ne In Jumlo Ko Teen Martaba Farmaya. Aur Hazrat Hasan رضي الله عنه Kehte Hai Ke Fir Sahaba Ne Arz Kiya Ya Rasoollallah! ﷺ Aapke Khulfa Kaun Hai? Allah Ke Rasool ﷺ Farmate Hai Mere Khulfa Woh Hai Jo Meri Sunnat Ko Zinda Kare. IMAM IBNE ASAKIR NE TAARIKHE DAMISHQUE ME HADEES NO-61 PAR NAKAL KIYA. ASHAAR: Nabi ﷺ Ki Pyaari Sunnato Ko Jisne Zinda Kardiya Durud Ko Salaam Ko Hamesha Aam Kardiya Isiliye Yeh Sunni Unpe Jaan Se Nisaar Hai Raza Zindabaad Raza Zindabaad Raza Zindabaad Raza Zindabaad
POST NO - 2:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
HADEES:
ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-3, HADEES NO-887.
Hazrat Abu Huraira رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Riwayat Hai Woh Farmate Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Se Mujhko Jo Kuch Ilm Hasil Hua. Un Tamaam Uloom Me Se Yeh Baat Bhi Maine Nabi ﷺ Se Suni Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Irshaad Farmaya Har 100 Saal Me Meri Ummat Me Allah Taala Ek Shaks Ko Bhejta Hai. Jo Deen Ki Tajdeed Karta Hai Yaani Deen Ko Nikhaar Deta Hai.
EXPLANATION:
Har Sadi Me Allah Ek Mujaddid Ko Bhejta Hai Jo Deen Ko Nikhaar Deta Hai. Aur Imam Ahmed Raza Me Mujaddid Hone Ki Woh Tamaam Sharayat Pai Jaati Hai Aur Unke Daur Ke Tamaam Aulama-e-Ahle Sunnat Ne Imam Ahmed Raza Ko Is Sadi Ka Mujaddid Tasleem Kiya.
ASHAAR:
Woh Apne Waqt Ke Beshak Imame Bu Hanifa The
Koi Saani Nahi Milta Imam Ahmed Raza Khan Ka
POST NO - 3:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
ZABAR KO ZAIR PADHTE:
Ek Martaba Aala Hazrat Apne Ustaad Se Quran Padh Rahe The. Jab Ek Aayat Par Pohonche Toh Usko Zair Se Padha. Toh Ustaad Ne Toka, Beta Yeh Zabar Hai Zabar Se Padho. Aapne Fir Zair Se Padha. Ustaad Baar Baar Tok Rahe Hai Lekin Aap Zair Se Padhte Hai.
Jab Aapke Dada Raza Ali Khan Ne Dekha, Aap Paas Me Hi Baithe Hue The. Raza Ali Khan Kehte Hai Bete Ahmed Raza, Jaisa Ustaad Padhate Hai Waise Hi Padhiye. Aala Hazrat Fir Zair Se Padhte Hai. Toh Raza Ali Khan Ko Thoda Shak Hua Ke Kya Baat Hai Ahmed Raza Ke Ustaad Bhi Baar Baar Tok Rahe Hai Mai Bhi Keh Raha Hu Fir Bhi Zair Se Padhte Hai.
Farmaya Quran Laya Jaye. Jab Quran Ka Nuskha Laya Gaya Toh Usme Dekha Gaya Toh Zabar Tha, Fir Dusra Nuskha Laya Gaya Toh Zabar Tha, Fir Teesra Nuskha Laya Gaya Toh Usme Zair Hi Tha. Aur Uske Baad Jitne Bhi Nuskhe Laye Gaye Sabme Zair Hi Tha. Malum Hua Ke Aala Hazrat Jo Padh Rahe The Woh Hi Sahi Tha. Magar Jis Quran Ke Nuskhe Se Ustaad Padha Rahe The Usme Kitaabat Ki Galti Se Zabar Aagaya Tha.
Allama Raza Ali Khan Farmate Hai, Beta Jab Yeh Zabar Likha Hua Tha Toh Tumne Zabar Kyu Nahi Padha, Zair Hi Kyu Padhte The. Toh Aala Hazrat Kehte Hai Dada Huzoor Mai Toh Chahta Tha Ke Zabar Se Padhu. Lekin Meri Zaban Mere Ikhtiyaar Me Nahi Rehti Thi. Be Saakhta Zair Hi Nikalta Tha.
Chunanche Aapke Dada Raza Ali Khan Aapki Peshaani Par Bosa Dete Hai Aur Farmate Hai Ahmed Raza, Allah Ka Tum Par Yeh Fazlo Karam Hai Ke Tumhaari Zabaan Se Woh Koi Galat Nahi Nikalwata Hai.
POST NO - 4:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
BACHPAN KA TAQWA:
Aala Hazrat Ne Ek Din Roza Rakha, Aur Gaaliban Us Waqt Aapki Umar 3 Saal Thi. Lekin Bareli Shareef Me Dhup Ki Shiddat Ki Wajah Se Aap Kamzori Mehsus Karne Lage. Ghar Me Iftaari Ki Tayyariyan Ho Rahi Thi. Kheer Banai Ja Rahi Thi, Firni Banai Ja Rahi Thi. Aur Ek Kamre Me Firni Jama Karke Rakhi Gayi Thi.
Aala Hazrat Ke Waalid Ne Jab Dekha Ke Bacche Ki Haalat Nidhaal Hai Bhook Bardaash Nahi Ho Pa Rahi Thi. Aapke Waalid Naki Ali Khan Ne God Me Liya Aur Sabki Nigaaho Se Bachakar Us Kamre Me Daakhil Hote Hai Jahan Firni Jama Ki Ja Rahi Thi. Uske Baad Darwaaze Ko Band Kar Diya Aur Ek Firni Ka Katora Uthakar Kehte Hai Ahmed Raza Isko Khaalo Hum Kisi Se Kuch Nahi Kahenge.
Toh Aala Hazrat Muskurate Hai Aur Kehte Hai Ke Isko Khaalunga Toh Koi Dekh Nahi Raha Aur Aap Kisi Se Kuch Kahenge Bhi Nahi. Magar Jiske Liye Roza Rakha Hai Woh Toh Dekh Raha Hai, Woh Toh Jaanta Hai. Bas Jaise Hi Waalide Girami Ne Yeh Suna Aankhon Se Aansu Jaari Ho Gaye.
POST NO - 5:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
KHEL KUD SE DUR:
In Sab Kitabo Me Musannif Likhte Hai Ke Bachpan Ke Aalam Me Aala Hazrat Khel Kud Me Hissa Nahi Liya Karte The. Haalaake Bareli Me Us Waqt Patang Kasrat Se Udhaai Jati Thi, Lekin Aapko Patang Ka Shauk Bhi Nahi Tha. Agar Aapke Ghar Me Patang Kat Kar Bhi Aa Jati Toh Aap Us Patang Ko Uthaate Aur Waalide Girami Ke Palang Ke Niche Rakh Dete.
Jab Aapke Waalid Puchte Ke Yeh Kisne Rakha. Toh Aapki Waalida Aapka Naam Batati. Toh Aapke Waalide Girami Hazrat Naki Ali Khan Muskura Kar Farmate Ke Ahmed Raza Ko Khel Kud Me Mashgala (Interest) Hai Hi Kaha. Unhe Toh Padhne Padhane Ka Shauk Hai. Shayad Yeh Patang Hamare Liye Udhaane Ke Liye Chod Gaye Hai.
POST NO - 6:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
USTAAD KI ISLAAH:
Bachpan Me 3.5 Saal Ki Umar Me Ek Martaba Aap Ghar Me Apne Ustaad Se Padh Rahe The Ke Itne Me Ek Bacche Ka Dakhila Hota Hai. Bacche Ne Salaam Kiya Assalamu Alaikum. Toh Ustaad Ne Jawaab Diya Jeete Raho.
Aala Hazrat Farmate Hai Yeh Jawaab Thodi Na Hua. Aapke Ustaad Ne Pucha, Fir Iska Jawaab Kya Hai. Farmaya Wa Alaikumus Salaam. Ustaad Ne Peshaani Chumi Aur Farmaya Sahab Zaade, Hum Aapko Nahi Sikhaate Hai Balke Aap Hamaari Islaah Karte Hai.
POST NO - 7:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
AALA HAZRAT KI ZAHAANAT KA AALAM:
Aala Hazrat Ke Kuch Ustaado Ka Yeh Haal Tha Ke Aapki Zahaanat Ko Dekhkar Bade Mutajjib Ho Jaate. Ek Ustaad Ka Toh Yeh Haal Tha Ke Haath Pakadte, Kamre Me Le Jaate, Darwaaza Band Karte, Khidki Band Karte Aur Kehte Ahmed Raza Mai Tumhe Allah Ka Waasta Deta Hu, Koi Sunne Wala Nahi Hai. Yeh Raaz Tumhaare Aur Mere Darmiyaan Rahega. Allah Ka Waasta Sahi Sahi Batao Tum Jin Ho Ya Insaan.
Yaani Aala Hazrat Ki Zahaanat Ko Dekh Kar Unko Shak Hota Ke Yeh Insaan Hai Bhi Ke Nahi. Toh Aala Hazrat Muskuraate Aur Farmate Ba Khuda Mai Insaan Hi Hu. Khuda Ka Shukr Hai Ke Usne Mujhe Jin Nahi Balke Insaan Banakar Paida Kiya.
POST NO - 8:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
BACHPAN AUR ILME DEEN:
Aala Hazrat Ne 4 Saal Ki Umar Me Quran Shareef Ka Naazra Mukammal Farmaya.
Jab Aapki Umar 6 Saal Ki Hui Toh Aala Hazrat Ne Jashne Eid Miladun Nabi Ke Mauke Par 1:45 Ghante, Rasoollallah ﷺ Ki Seerat Aur Fazeelat Par Pehla Bayaan Farmaya. (Us Majme Me Bohot Se Us Waqt Ke Jayyad Aulma Maujood The).
8 Saal Ki Umar Me Aapne Sabse Pehli Kitaab Likhi (Hidayatun Nauh - Arbi Grammer Ki Sharah Farmai).
Jab Aapki Umar 10 Saal Ki Hui Toh Darsi Kitaab, Jo Madarse Me Dars Me Padhai Jaati Hai (Musallamas Suboot). Is Kitaab Ka Aapne Haashiya Likha.
Fir Uske Baad Likhte Hi Gaye Likhte Hi Gaye.
ASHAAR:
“WAADI RAZA KI KOHE HIMALA RAZA KA HAI.”
“JIS SIMT DEKHIYE WOH ILAAKA RAZA KA HAI.”
“AURO NE TOH BOHOT KUCH LIKHA HAI ILM-E-DEEN PAR.”
“LEKIN IS SADI ME JO HAI WOH TANHA RAZA KA HAI.”
POST NO - 9:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
TAALIM KAHA SE AUR KINSE HAASIL KI:
Aala Hazrat Ne Apne Ghar Se Hi Taalim Haasil Ki, Kabhi Madarse Me Dakhila Nahi Liya.
Aur Digar Ustaad Jinse Aapne Taalim Hasil Ki Woh Yeh Hai:
Shah Aale Rasool Mahrervi (Jo Aapke Peero Murshid Bhi Hai)
Sheikh Ahmed Bin Zain Shafai Makki (Makka Ke Bohot Bade Muhaddis The)
Sheikh Abdul Rehman Siraj Makki
Allama Abdul Ali Rampuri
Abdul Husain Noori
Sheikh Husain Bin Sauleh
Mirza Gulam Kadar Baig
POST NO - 10:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
AALIM KAB BANE:
1869 Iswi Me Aala Hazrat Mukammal Aalim Ban Gaye. Aur Aap Khud Farmate Hai Ke Jis Waqt Mai Aalim Ban Gaya Aur Meri Dastaar Bandi Hui, Us Waqt Meri Umar 13 Saal, 10 Maah, 5 Din Thi.
PEHLA FATWA KAB DIYA:
Aala Hazrat Ne Pehla Fatwa 14 Shaaban 1286 Hijri Me, Razaat Ke Taaluq Se Diya. Us Waqt Aapki Umar 14 Saal Thi.
Aala Hazrat Se Alag Alag Jagaho Se Fatwe Puche Jaate The. Jaise Burma, Asia, Africa, Chin, Afghanistan, Hijaze Muqqaddas (Saudi Arab), America, etc.
FATAWA-E-AFRICA KAISE BANI:
Africa Se Itne Sawalaat Aate The Ke Jab Mureedeen Aur Shaagirdo Ne Un Fatwo Ko Jama Kiya Toh Ek Mustakeel Kitaab Ban Gayi. Jisko Aaj Fatawa-e-Africa Kaha Jaata Hai. (Sirf 1 Saal Ke Fatwo Ko Jama Kiya Gaya).
POST NO - 11:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
FATAWA-E-RAZAVIYA KAISE BANI:
Aakhri Waqt Ke Jo Fatwe Jama Karna Shuru Kiya Gaya Toh Ek Mustakeel Fatawa Ki Zakheer Kitaab Ban Gayi. Jo Aaj 30 Jildo Me Fatawa-e-Razaviya Ke Naam Se Mashhur Hai.
Aur Taajub Ki Baat Yeh Hai Ke Is Fatawe Me Aala Hazrat Se Jis Zabaan Me Sawaal Hota, Toh Aap Usi Zabaan Me Jawaab Inaayat Farmate. Yaha Tak Ke Agar Ashaar Me Sawaal Hota Toh Ashaar Ke Zariye Hi Aap Jawaab Dete. Jise Chahiye Woh Fatawa Razaviya Uthaake Dekh Sakta Hai.
ASHAAR:
“MINAARE KASRE RAZA TOH BULAND KAAFI HAI, TUM USKE PEHLE ZEENE PAR HI CHADH KAR DIKHLADO.”
“FATAWA RAZAVIYA TOH EK KARAAMAT HAI, HADAAIKE BAKHSHISH HI PADH KAR DIKHLADO.”
POST NO - 12:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
KITNE ULOOM HAASIL KIYE AUR KISSE:
Aala Hazrat Ne Kul 55 Uloom Par 1300 Kitaabe Likhi Hai. Aur Unme Se Chand Uloom Yeh Hai. Hadees, Usoole Hadees, Quran, Fiqh, Tafseer, Lugat, Nujoom, Riyazi, Geographiya, Algebra, etc.
Aap Khud Farmate Hai Ke 55 Uloom Me Se 21 Uloom Woh Hai Jo Maine Apne Waalid Se Haasil Kiye Hai Aur Padha Hai. Aur 24 Uloom Woh Hai Jo Dusre Ustaado Se Liya Hai Aur 10 Woh Hai Jo Maine Kisi Se Padha Hi Nahi. Allah Aur Uske Rasool ﷺ Ke Fazlo Karam Se Mujhe Ataa Kar Diya Gaya.
POST NO - 13:
SHAAN-E-AALA HAZRAT
BACHPAN ME FATWA:
8 Saal Ki Umar Me Aala Hazrat Ne Pehla Fatwa Diya. Us Waqt Aap Mufti Nahi Kehlaate The. Allama Irshaad Husain Rampuri Alaihir Rehma Us Daur Ke Bohot Bade Aalim The. Unka Fatwa Aala Hazrat Ke Waalid Maulana Naki Ali Khan Ke Paas Tasdeek Ke Liye Aaya Tha. Aala Hazrat Ke Waalid Ne Fatwe Ki Tasdeek Kardi. Ittefaak Se Woh Fatwa Aala Hazrat Ko Dikha Aur Aapne Uthaaya Aur Uthaane Ke Baad Ek Dusra Jawab Likha Aur Us Jawab Me Allama Irshaad Husain Rampuri Ke Fatwe Par Aeteraaz Tha Yaani Ikhtelaaf Tha.
Aala Hazrat Ke Walid Ne Jab Dekha Ke Isme Ahmed Raza Ki Dasta Khat (Sign) Hai. Toh Aapne Aala Hazrat Ko Bulaya Aur Farmaya Ahmed Raza Yeh Jawaab Aapne Likha Hai. Kaha Ha Hamne Likha Hai. Waalide Girami Kehte Hai Mai Tasdeek Karta Hu Ke Aaphi Ka Jawaab Sahi Hai. Magar Abhi Aapki Umar Is Layak Nahi Hai Ke Fatwa Diya Kare. Lihaza Jab Waqt Aayega Tab Fatwa Dijiye. Yeh Kehkar Aap Chale Gaye.
Baad Me Aapke Waalide Girami Naki Ali Khan Apne Shaagirdo Se Farmate Hai Ke Ahmed Raza Ne Woh Jawab Diya Hai Is Umar Me, Ke Bade Se Bada Bhi Aisa Jawab Likh Kar Batade Toh Mai Uske Ilm Ka Loha Maanlu.
No comments:
Post a Comment
अपना सुझाव दर्ज करें l Please Enter Suggestion