COMMON SERVICE CENTRE

कमर जन सुविधा केंद्र कटिया कम्मू शाहजहाँपुर उत्तर प्रदेश भारत

नियर नूरी जमा मस्जिद E-MAIL- sherjsk.khan@outlook.com
WELCOME TO KAMAR JAN SUVIDHA KENDRA

NAMAZ KI NIYYAT KIS TARAH KARNI CHAHIYE?

 ❥ *﷽* ❥ اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْکَ یَاسَیَّدِیْ یَارَسُوْلَ اللّٰه ﷺ

`Namaz`

`Tadaade Rakat Aur Niyyat:`

*SAWAL: ASR KE WAQT KUL KITNI RAK'AT NAMAZ PADHI JATI HAI?*

Jawab: 8 Rak'at, Pahle 4 Rak'at Sunnat Phir 4 Rak'at Farz.


*SAWAL: CHAAR RAK'AT SUNNAT KI NIYYAT KIS TARAH KI JAYEGI?*

Jawab: Niyyat Ki Maine 4 Rak'at Namaz Sunnat Asr Ki Allah Ta'ala Ke Liye Sunnat Rasoolullah Ki Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.


*SAWAL: PHIR CHAAR RAK'AT FARZ KI NIYYAT KAISE KARE?*

Jawab: Niyyat Ki Maine 4 Rak'at Namaz Farz Asr Ki Allah Ta'ala Ke Liye [Muqtadi Itna Aur Kahe Peechhe Is Imaam Ke] Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.


•••┈┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈┈•••

❥ *﷽* ❥ اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْکَ یَاسَیَّدِیْ یَارَسُوْلَ اللّٰه ﷺ

`Namaz`

`Tadaade Rakat Aur Niyyat:`

*SAWAL: MAGHRIB KE WAQT KUL KITNI RAK'AT NAMAZ PADHI JATI HAI?*

Jawab: 7 Rak'at, Pahle 3 Rak'at Farz Phir 2 Rak'at Sunnat Phir 2 Rak'at Nafl.


*SAWAL: TEEN RAK'AT FARZ KI NIYYAT KIS TARAH KI JAYEGI?*

Jawab: Niyyat Ki Maine 3 Rak'at Namaz Farz Maghrib Ki Allah Ta'ala Ke Liye [Muqtadi Itna Aur Kahe Peechhe Is Imaam Ke] Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.


*Sawal: Aur Do Rak'at Sunnat Ki NIYYAT KAISE KARE?*

Jawab: Niyyat Ki Maine 2 Rak'at Namaz Sunnat Maghrib Ki Allah Ta'ala Ke Liye Sunnat Rasoolullah Ki Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.

*SAWAL: PHIR DO RAK'AT NAFL KI NIYYAT KAISE KARE?*

Jawab: Niyyat Ki Maine 2 Rak'at Namaz Nafl Ki Allah Ta'ala Ke Liye Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.


•••┈┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈┈•••

❥ *﷽* ❥ اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْکَ یَاسَیَّدِیْ یَارَسُوْلَ اللّٰه ﷺ

`Namaz`

`Tadaade Rakat Aur Niyyat:`


*SAWAL: ISHA KE WAQT KUL KITNI RAK'AT NAMAZ PADHI JATI HAI?*


Jawab: 17 Rak'at, Pahle 4 Rak'at Sunnat Phir 4 Rak'at Farz Phir 2 Rak'at Sunnat Phir 2 Rak'at Nafl Phir 3 Rak'at Witr Wajib Phir 2 Rak'at Nafl.



*SAWAL: CHAAR RAK'AT SUNNAT KI NIYYAT KIS TARAH KI JAYEGI?*


Jawab: Niyyat Ki Maine 4 Rak'at Namaz Sunnat Isha Ki Allah Ta'ala Ke Liye Sunnat Rasoolullah Ki Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.



*SAWAL: PHIR CHAAR RAK'AT FARZ KI NIYYAT KAISE KARE?*

Jawab: Niyyat Ki Maine 4 Rak'at Namaz Farz Isha Ki Allah Ta'ala Ke Liye [Muqtadi Itna Aur Kahe: *“Peechhe Is Imaam Ke”*] Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.


*SAWAL: PHIR DO RAK'AT SUNNAT KI NIYYAT KIS TARAH KI JAYEGI? *


Jawab: Niyyat Ki Maine 2 Rak'at Namaz Sunnat Isha Ki Allah Ta'ala Ke Liye Sunnat Rasoolullah Ki Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.


*SAWAL: PHIR DO RAK'AT NAFL KI NIYYAT KIS TARAH KI JAYEGI?*

Jawab: Niyyat Ki Maine 2 Rak'at Namaz Nafl Ki Allah Ta'ala Ke Liye Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.


*SAWAL: WITR KI NIYYAT KIS TARAH KI JAYEGI?*

Jawab: Niyyat Ki Maine 3 Rak'at Namaz Wajib Witr Ki Allah Ta'ala Ke Liye Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.


*SAWAL: PHIR DO RAK'AT NAFL KI NIYYAT KAISE KARE?*

Jawab: Niyyat Ki Maine 2 Rak'at Namaz Nafl Ki Allah Ta'ala Ke Liye Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.


•••┈┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈┈•••

❥ *﷽* ❥ اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْکَ یَاسَیَّدِیْ یَارَسُوْلَ اللّٰه ﷺ

`Namaz`

`Tadaade Rakat Aur Niyyat:`


*SAWAL: AGAR NIYYAT KE ALFAAZ BHOOL KAR KUCH KE KUCH ZUBAAN SE NIKAL GAYE TO NAMAZ HOGI YA NAHI?*

Jawab: Niyyat Dil Ke Pakke Irade Ko Kehte Hain Yani Niyyat Mein Zubaan Ka Aetbaar Nahi To Agar Dil Mein Maslan Zuhar Ka Irada Kiya Aur Zubaan Se Lafze Asr Nikal Gaya To Zuhar Ki Namaz Ho Jayegi.


*SAWAL: QAZA NAMAZ KI NIYYAT KIS TARAH KARNI CHAHIYE?*

Jawab: Jis Roz Aur Jis Waqt Ki Namaz Qaza Ho Us Roz Aur Us Waqt Ki Niyyat Qaza Mein Zaroori Hai Maslan Agar Juma Ke Roz Fajr Ki Namaz Qaza Ho Gai To Is Tarah Niyyat Kare Ki Niyyat Ki Maine 2 Rak'at Namaz-e Qaza Juma Ke Fajr Farz Ki Allah Ta'ala Ke Liye Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar.


•••┈┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈┈•••

❥ *﷽* ❥ اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْکَ یَاسَیَّدِیْ یَارَسُوْلَ اللّٰه ﷺ

`Namaz`

`Tadaade Rakat Aur Niyyat:`

*SAWAL: AGAR KAI SAAL KI NAMAZEIN QAZA HO TO NIYYAT KAISE KARE?*

Jawab: Aisi Soorat Mein Jo Namaz Maslan Zuhar Ki Namaz Padhni Hai To Is Tarah Niyyat Kare 'Niyyat Ki Maine 4 Rak'at Namaz Qaza Jo Mere Zimme Baqi Hai Unmein Se Pahle Zuhar Farz Ki Allah Ta'ala Ke Liye Munh Mera Taraf Ka'aba Shareef Ke Allahu Akbar' Isi Par Doosri Qaza Namazon Ki Niyyaton Ko Qiyaas Karna Chahiye.


*SAWAL: PAANCH WAQT KI NAMAZON MEIN KUL KITNI RAK'AT QAZA PADHI JAYEGI?*

Jawab: 20 Rak'at: 2 Rak'at Fajr, 4 Rak'at Zuhar, 4 Rak'at Asr, 3 Rak'at Maghrib, 4 Rak'at Isha Aur 3 Rak'at Witr.


*Khulasa:* Farz Aur Witr Ki Qaza Hai Sunnat Namazon Ki Qaza Nahi Hai.


•••┈┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈┈•••

❥ *﷽* ❥ اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْکَ یَاسَیَّدِیْ یَارَسُوْلَ اللّٰه ﷺ

`Namaz`

`Namaz Padhne Ka Tareeqa:`

*SAWAL: NAMAZ PADHNE KA TAREEQA KYA HAI?*

*Jawab: Namaz Padhne Ka Tareeqa Ye Hai:*

Ba Wuzu Qibla Rukh Donon Paanv Ke Panjon Mein Chaar Ungal Ka Fasila Kar Ke Khade Ho aur Donon Hath Kaan Tak Le Jaye Ke Anguthe Kaan Ki Lau Se Chhoo Jayein Is Haal Mein Ki Hatheliyan Qibla Rukh Ho Phir Niyyat Karke Allahu Akbar Kahta Hua Hath Neeche Lakar Naaf Ke Neeche Baandh Le.


Phir Tilawat Ki Shuruwaat *"Sana"* Se Karte Huwe, *"Tawwooz Padhe"* Baad Iske *"Tasmiya Padhe"* Iske Baad *"Surah Fatiha"* Padhe Aahista Se *"Aameen"* Kahe aur Uske Baad Koi *"Soorat Ya Teen Aayatein Padhe Ya Ek Aayat Jo Ki Chhoti Teen Aayaton Ke Barabar Ho"*.


Ab *"Allahu Akbar"* Kehta Hua Rukoo Mein Jaye Aur Ghutnon Ko Hath Se Pakad Le, Is Tarah Ki Hatheliyan Ghutne Par Ho, Ungliyan Khoob Phaili Ho, Peeth Bichhi Ho Aur Sar Peeth Ke Barabar Ho Uncha Neecha Na Ho Aur Kam Se Kam Teen Baar *"Sub'hana Rabbiyal Azeem"* Kahe Phir *"Samiallahu Liman Hamidah"* Kehta Hua Seedha Khada Ho Jaye Aur Akele Namaz Padhta Ho To Uske Baad *"Rabbana Wa Lakal Hamd"* Kahe.


Phir *"Allahu Akbar"* Kahta Hua Sajda Mein Jaye Is Tarah Ki Pahle Ghutne Zameen Par Rakhe Phir Hath Phir Donon Hathon Ke Beech Mein Naak Phir Peshani Rakhe, Is Tarah Ke Peshani Aur Naak Ki Haddi Zameen Par Jamaye Aur Bazuon Ko Karwaton Aur Pet Ko Raanon Aur Raanon Ko Pindliyon Se Juda Rakhe Aur Donon Paanv Ki Sab Ungliyon Ke Pet Qibla Rukh Jame Ho Aur Hatheliyan Bichhi Ho Aur Ungliyan Qibla Rukh Ho Aur Kam Se Kam Teen Baar *"Sub'hana Rabbiyal Aala"* Kahe.


Phir Sar Uthaye Phir Hath Aur Dahina Qadam Khada Kar Ke Uski Ungliyan Qibla Rukh Kare Aur Baaya Qadam Bichha Kar Us Par Khoob Seedha Baith Jaye Aur Hatheliyan Bichha Kar Raanon Par Ghutne Ke Paas Rakhe. Phir *"Allahu Akbar"* Kehta hua  Dusre Sajde Mein Jaye Aur Pehle Ki Tarah Sajda Karke Phir Sar Uthaye Phir Hath Ko Ghutnon Par Rakh Kar Panjon Ke Bal Khada Ho Jaye.


Ab Sirf *"Bismillah Hirrahmaan Nirraheem"* Padh Kar Qiraat Shuru Kare Phir Pehle Ki Tarah Rukoo Sajda Karke Baaya Qadam Bichha Kar Baith Jaye Aur Tashhahud [Attahiyaat] Padhe.



Tashahhud Padhte Huye Jab Kalima_e 'Ash’hadu Al’la' Ke Qareeb Pahunche To Dahine Hath Ki Beech Ki Ungli Aur Anguthe Ka Halqa Banaye Aur Chhanguliyan Aur Uske Paas Wali Ko Hatheli Se Mila De Aur Lafze 'La' Par Kalimah Ki Ungli Uthaye Magar Usko Hilaye Nahi Aur Kalima_e 'Illa' Par Gira De Aur Sab Ungliyan Fauran Seedhi Kar Le.


Ab Agar Do Se Zyada Rak'at Padhni Hai To Uth Khada Ho Aur Isi Tarah Padhe Magar Farzon Ki Un Rak'aton Mein “Alhamdu” Ke Sath Soorat Milana Zaroori Nahi Ab Pichhla Qa'ada [Baithak] Jiske Baad Namaz Khatm Karega Us Mein Tashahhud Ke Baad Durood Shareef [Duroode Ibrahimi] Padhe,


Phir Koi Bhi Dua_e Masoora Padhe. Iske Baad Dahine Mondhe Ki Taraf Munh Karke *"Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah"* Kahe, Phir Baaye Taraf Bhi Isi Tarah Kahe.

Ab Namaz Poori Ho Gayi.


•••┈┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈┈•••

❥ *﷽* ❥ اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْکَ یَاسَیَّدِیْ یَارَسُوْلَ اللّٰه ﷺ


`Namaz`

`Auraton Ke Liye Namaz Ke Makhsoos Masail:`


Auratein Takbeere Tahreema Ke Waqt Kaano Tak Hath Na Uthayein Balki Mondhe[kandhe] Tak Uthaye, Hath Naaf Ke Neeche Na Baandhe Balki Baai Hatheli Seena Par Chhati Ke Neeche Rakh Kar Uski Peeth Par Dahini Hatheli Rakhein.


Rukoo Mein Zyada Na Jhukein Yani Sirf Is Qadar Ki Hath Ghutnon Tak Pahunch Jaye, Peeth Seedhi Na Karein Aur Ghutnon Par Zor Na Dein Balki Mahaz Hath Rakh Dein Aur Hathon Ki Ungliyan Mili Hui Rakhein Aur Paanv Kuchh Jhuka Rakhein Mardon Ki Tarah Khoob Seedha Na Kar Dein.


Auratein Simat Kar Sajda Karein Yani Bazoo Karwaton Se Mila Dein Aur Pet Raan Se Aur Raan Pindliyon Se Pindliyan Zameen Se.


Qa'ada [Baithak] Mein Bayein Qadam Par Na Baithe Balki Donon Paanv Dahini Janib Nikaal Dein Aur Bayein Sureen [Puttha] Par Baithe.


- Auratein Bhi Khadi Ho Kar Namaz Padhe.

- Farz Aur Wajib Jitni Namazein Baghair Uzr Baith Kar Padh Chuki Hain Unki Qaza Karein Aur Tauba Karein.

- Aurat Mard Ki Imamat Hargiz Nahi Kar Sakti Aur Sirf Auratein Jama'at Karein Ye Makrooh Tahreemi Aur Najayaz Hai.

- Auraton Par Jumua Aur Eidain Ki Namaz Wajib Nahi.


_To Be Continued_

•••┈┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈┈•••

Share:

No comments:

Post a Comment

अपना सुझाव दर्ज करें l Please Enter Suggestion

Search This Blog

Contact Form

Name

Email *

Message *