COMMON SERVICE CENTRE

कमर जन सुविधा केंद्र कटिया कम्मू शाहजहाँपुर उत्तर प्रदेश भारत

नियर नूरी जमा मस्जिद E-MAIL- sherjsk.khan@outlook.com
WELCOME TO KAMAR JAN SUVIDHA KENDRA

Itikaf Ki Fazilat

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ بِسْمِ

Assalaamu Alaykum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu

Assalaatu Wassalaamu Alayka Ya Rasoolallah Sallal Laahu Ta'ala Alaika Wa Sallam
Itikaf Q&A – Jamiatul Ulama KZN

Itikaf Kya Hai ? “Masjid Me ALLAH Taala Ki Raza kay liye Ba Niyat E Itikaf Taherna I’tikaf Hai, Iske Liye Musalman Ka Aakil Aur Janabat Aur Haiz O Nafas Se Paak hona shart Hai, Bulugh (Major) Hona Shart Nahi Hai Agar Baaligh bhi Jo Tameez rakhta Hai Agar Baa Niyat E I’tikaf Masjid Me Thahre To Uska Itikaf Sahih hai” (Fatawa Alamgiri Vol : 01, Pg : 211)
Itikaf Purani Ibadat Hai Jo Pichli Ummat Me Bhi Mauzood Thi
Quran E Karim Me Allah Taala Irshad Farmaya hai وَعَهِدنا إِلىٰ إِبراهيمَ وَإِسماعيلَ أَن طَهِّرا بَيتِيَ لِلطّائِفينَ وَالعاكِفينَ وَالرُّكَّعِ السُّجودِ “Aur Humne Taakid Farmayi Ibrahim Wa Ismail Ko Mera Ghar Khoob Suthra Karo Tawaaf Waalo’n Aur Itekaf Waalo’n Aur Ruku Wa Sujood Kay Liye” (Surah Baqarah Ayat 125) Aur Itikaf Is ummat me bhi mauzood hai iski badi fazilat hai hadees e paak me, lihaja zindagi me har musalman ko kam az kam ek baar to jarur Itikaf karna chahye Kay ye Nabi E Karim ﷺ Ki Azeem Sunnat Hai. Itikaf Ki 03 Kisme Hai


01) I'tikaf Wajib → I'tikaf Ki Nazr Mannat Mani Jaban Se Kaha Mai Allah Taala Ki Riza Kay Liye Falan Din Ya Itne Din Ka Itikaf Karunga, To Ab Jitne Bhi Din Ka Kaha Utne Din Ka Itikaf Karna Wajib Hogaya, Yeh Baat Khas yaad rahe kay jab bhi kisi kism ki mannat mani jaaye Usme Shart yeh hai kay Mannat Kay Alfaz Jaban Se Ada Kiye Jaaye Sirf Dil hi Dil me mannat karlene se Mannat Sahih Nahi hoti (Aisi Mannat ka pura karna wajib nahi hota” (Raddul Muhtar, Vol : 03, Pg : 430) Hadees 01:
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Hazrat Umar Radiallahu Anhu Ne Huzoor Sarwar E Kainat ﷺ Se Daryaft Kiya Maine Daur E Jahiliyat Me Mannat Mangi Thi Kay Khana E Kaaba Me EK Raat Ka Itikaf Karunga, Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Apni Mannat Puri Karo”
(Sahih Muslim, Kitab Al Ayman, #1656)
(Sunan Nasai, Kitab Al Ayman Walnudhur, #3820, #3821, #3822)
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Siyam, #2474, Kitab Al Aiman Wa Al Nudhur #3325)
(Imam Tirmizi Jamai, #1539) (Sunan Ibn Majah #2129)
02) I'tikaf Sunnat  → Ye Wo I’tikaf Hai jisko Ramzanul Karim Me rakhne ki takeed ki jaati hai aur iski hi badi fazilat hadees e paak me hai chunache isko rakhne ki kuch shartein bhi hai jo hum aage likhenge.
“Ramzanul Mubarak kay Aakhri Ashre Ka I'tikaf SUNNAT E Muakkadah Alal Kifayah hai” (Durr E Mukhtar Maa Raddul Muhtar, Vol : 03, Pg : 430) “Yaani Agar Pure Shaher Me Kisi Ek Ne Bhi Kar Liya To Sabki Taraf Se Ada Hogaya Aur Agar Kisi Ek Ne Bhi Nahi Kiya To Sabhi Muzrim Huwe” (Bahar E Shariat, Hissa Panjum, Pg : 152) Kon Kon Ye Sunnat E I’tikaf Rakh Sakta Hai : “Masjid Me ALLAH Taala Ki Niyat kay liye Ba Niyat E Itikaf Taherna I’tikaf Hai, Iske Liye Musalman Ka Aakil Aur Janabat Aur Haiz O Nafas Se Paak hona shart Hai, Bulugh (Major) Hona Shart Nahi Hai Agar Baaligh bhi Jo Tameez rakhta Hai Agar Baa Niyat E I’tikaf Masjid Me Thahre To Uska Itikaf Sahih hai” (Fatawa Alamgiri Vol : 01, Pg : 211) Mard Aur Aurat Dono hi rakh sakte Hai Mard Ko Masjid me I’tikaf Karna Hai Aur Aurat Ko Ghar Me (Ghar Me Aurat Ek Jagah Ko Makhsoos (Fix) Karle) Jisko Masjid E Bait Kahte Hai. Sunnat E I'tikaf Kab Se Shuru Hota Hai : “Is Ramzan Me Ye Jaruri Hai Kay Ramzan Ki Beeswi (20) Tarikh ko Gurub e aftab (Suraj Dubne) Se pahle pahle Masjid Kay andar Baa Niyat I’tikaf Mauzood Ho Aur Aur Untees (29) Kay chand kay bahar yaa 30 kay Gurub E Aftab Kay baad Bahar Masjid Se Bahar Nikle”  (Bahar E Shariat, Hissa Panjum, Pg : 151) Sunnat E Itikaf Ki Shart : i) Masjid Me Agar Suraj Dubne kay baad pahucha aur Dil me niyat bhi hai I’tikaf ki tab bhi Sunnat E I’tikaf Naa Huwa iska shumar Nafl me hojayga. ii) Masjid Me Suraj Dubne Se Pahle Haazir to huwa par niyat naa ki to bhi na huwa. iii) Masjid me Suraj Dubne se pahle haazir hojaye aur niyat karle, Niyat Aisi Karen “Mai Allah Rabbul Izzat ki Raza Kay liye Ramzanul Mubarak Kay Aakhri Ashre Kay Sunnat I’tikaf Ki Niyat Karta Hoon”

03) Itikaf E Nafl → “Nazr Aur Sunnat E Muakkadah kay elawa jo Itikaf Kiya Jaaye Wo Mustahab (Yaani nafli) Wa Sunnat E Gair Muakkadah Hai” (Bahar E Shariat, Hissa Panjum, Pg : 152) Hadees 02 : “Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ramzan Kay Akhri Ashre Me Itikaf Kiya Karte They” (Sahih Bukhari, Kitabul I'tikaf, #2025) (Sahih Muslim, Kitabul I'tikaf, #1071) Hadees 03 : “Hazrat Ayesha Ummul Momineen Radiallahu Anha Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ramzan Kay Aakhri Ashre Me Itekaf farmaya karte yahan tak kay Aap Ka Wisaal E Jahiri Hogaya,Phir Aap Kay baad Azwaje Mutahirat Itekaf Karte Rahi” (Sahih Bukhari, Kitabul I'tikaf, #2026) (Sahih Muslim, Kitabul I'tikaf, #1172) (Sunan Abu Dawood, Vol : 02, Pg : 331, #2462) (Imam Tirmizi Sunan, Vol : 03, Pg : 157, #790) (Imam Ibn Majah Sunan, Vol : 01, Pg : 564, #1773) Hadees 04 : “Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah ﷺ Kay Aakhri Ashem Me I’tekaf Kiya Karte They, Hazrat Hafaye Kahte hai Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Ne Mujhe Masjid Me Woh Jagah Dikhaye Jahan Rasoolullah ﷺ I’tekaf Farmaya Karte They” (Sahih Muslim, Kitabul I’tikaf, #1171) (Sunan Abu Dawood, Vol : 02, Pg : 332, #2465) (Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Pg : 564, #1773)

Hadees 05 :
“Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Kay Huzoor Nabi E Akram ﷺ Har Saal Ramzan Ul Mubarak Me 10 Din Itikaf Farmate They, Aur Jis Saal Aap Ka Wisaal Huwa Us Saal Aap ﷺ Ne 20 Din Itikaf Kiya”
(Sahih Bukhari, Kitabul Itikaf, #2044) (Sunan Abu Dawood, Vol : 02, Pg : 332, #2466) (Imam Ibn Majah Sunan, Vol : 01, Pg : 562, #1769) (Imam Ahmad Ibn Hanbal Musnad, Vol :02, Pg : 336, #3343) (Imam Darimi Sunan, Vol : 02, Pg : 43, #1779)

Hajj Wa Umrah Ka Sawab Hadees 06 : “Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi ﷺ Ne Irshad Farmaya Jisne Ramzan Ul Mubarak Me 10 Din Ka Itikaf Kar Liya Woh Aisa Hai Jaise Do Hajj Aur Do Umraah Kiye” (Imam Tabarani Al Mu’jam Ul Kabir, Vol : 03,Pg :128, #2888) (Imam Bayhaqi Shoebul Imaan, Vol : 03, Pg : 425, #2966) (Imam Haythami Majma Uz Zawaid, Vol : 03, Pg : 173)
Hadees 07 :
Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Itikaf Karne waala Gunaho Se Bacha Rahta Hai Aur Uske Liye Tamam Nekiya Likhi Jaati Hai, Jaisa Unke Karne Waale Kay Liye Hoti Hai”
(Sunan Ibn Majah, Vol : 02, Pg : 365, #1781)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus, Vol : 04, Pg : 207, #6632)
Hadees 08 :
“Hazrat Hasan Basri Radi Allahu Anhu Se Manqool Hai Mottaqif Ko Har Roz Ek Hajj Ka Sawab Milta Hai” (Imam Bayhaqi Shoebul Imaan, Vol : 03, Pg : 425, #3968)
Ek Din Kay Itikaf Ki Fazilat
Hadees 09 :
“Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Huzoor Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Jo Shakhs Allah Pak Ki Raza Ke Liye Ek Din I’tikaf Karta Hai Allah Taala Us Ke Aur Dozakh Ke Darmiyan Tees (30) Khandakon Ka Faasla Kar Deta Hai, Har Khandak Mashriq Se Magrib Ke Darmiyani Faasle Se Jyaada Lambi Hai.”
(Imam Tabarani Al Mu’jam al Awsat, Vol : 07, Pg : 220, #7326) (Imam Munziri At Targhib Wat-Tarhib, Vol : 03, Pg : 263) (Imam Haythami Majma uz Zawaid, Vol : 08, Pg : 192) (Imam Suyuti Durr Al Manthur Vol : 01, Pg :486)
Share:

RamZan ME Padhne Kay Liye Bahter Post

Share:

Taraweeh Ki 20 Rakaat Ka Bayan



Ramzanul Mubarak Karib Aate Hi Daur e Haajir Ka Fitna E Azeem Wahabi Gair Mukallid ne Pichle chand saalo se Ek Fitna Choda hai ye barsaati mendak Seasonal hote hai har maah koi na koi kalabaji ka show inka shuru hi rhta hai jaise season ho waise aitraaz karte hai.
Ramzanul Mubarak aate hi ek fitna choda jaata hai wo TARAWEEH ki rakat ko leke fitna failaya jaata hai aur awaam ko shak o subahat me daala jaata hai k jo 20 RAKAT TARAWEEH padhi jaa rhi hai ye khilaf e Sunnat hai Biddat hai etc. Aur Social Network me Chahe Facebook watsapp ya other applications me fitna badi tezi se failaya jaata hai.
Is Topic ko Hum Kuch Posts me Mukammal karnge chunki ye article hai bahot zyada nhi likha jaa sakta bahot zyada tehkeeki hawale SCan pages etc sab Taraweeh k Topic Me Hamari Kitab me aayga par yaha itna likh denge In Sha ALLAH Taa’ala k Mukhalifeen ki bolti band hojaygi.


20 Raka’at Taraweeh Padhna Sunnat E Rasool Allah Sunnat e Sahaba Sunnat Aamatul Muslimeen Hai
8 Rakaat Taraweeh Khilaf e Sunnat Hai aur jo Log ye Dawa karte hai 8 Rakat Taraweeh Hone Ki unke pass dalail k naam pe kuch nahi hai fakat akal k ghode hai baat darasl ye hai Ibadat inko bhoj lgti hai ye apni nafs k gulam hai har mahine kuch na kuch Shosha Chodte hai Taraweeh K 20 Raka'at Hone Ka saboot.
Hadees 01 :
“Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu farmate hai Nabi E Karim Ramzan Me Witr K Elava 20 Rakaat Taraweeh Padte The”
References:
(Imam Ibn Abi Shaeba Al Musannaf Vol : 02, Pg : 163, Hadees : 7692)
(Imam Tabrani Al Ma’jmaul Ausaat , Vol : 01, Pg : 243, Hadees :798)
(Imam Tabrani Al Ma’jmaul Ausaat , Vol : 05, Pg : 342, Hadees : 5440)
(Imam Tabrani Al Ma’jmaul Kabeer , Vol : 11, Pg : 393, Hadees : 1210)
(Imam Bayhaqi Al Sunan Al Kubra, Vol : 02, Pg : 496, Hadees : 4391)
Is Hadees e Nabvi Se Pata chala k Khud Nabi E Karim  Bees 20 Rakat Taraweeh Padhte The.
Hadees 02 :
و حدثني عن مالك عن يزيد بن رومان أنه قال
كان الناس يقومون في زمان عمر بن الخطاب في رمضان بثلاث وعشرين ركعة
Yahya ne Malik Radiallahu Anhu se mujhko khabar di unhone Yazeed bin Ruman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se riwayat kiya ki wo farmate hain “Log Hazrat Umar Farooq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ke zamane me 23 rakat ke liye qiyam karte the”
Reference :
(Muwatta Imam Malik, Kitabus Salat, Baab : Ma Ja-a Fi Qayam E Ramzan Volume : 1 Page : 159 Hadith number : 380)
Is se 02 Baat Maloom Huwi ek ye k Taraweeh 20 Rakaat Hai aur Witr 03 Rakaat Hai.


Hadees 03 : Hazrat Saeb Bin Yazeed رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  say marwi hai unhone bayan kiya k  "Hazrat Umar Bin Khattabرَضِیَ اللهُ عَنْهُ k 'Ehad (door e Khilafat) main Sahaba E Kiram Radi ALLAH T'ala Anhuma Azmain maah-e-Ramzan main bees (20) rakat taraweeh parhty they aur un main soo (100) ayaat wali soortain parhty thy aur Hazrat Uthman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  k 'Ehad (Door e Khilafat) main shiddat e Qayam ki waja say wo apni laathiyun say tayk lagaty they." References : (Imam Bayhaqi As Sunan Al Kubra Vol : 02, Pg : 498/99, Hadees : 4617) (Ibn e Hasan Faryabi ,Kitab As Siym Vol : 01, Pg : 131, Hadees : 176 (Ibn e Ja'd Al Musnad Vol : 01, Pg : 413, Hadees : 2825)
Scan Page Of Imam Bayhaqi As Sunan Al Kubra


Imam Nawawi ne Iski Sanad Ko Siqah Karar Diya (Al Khulasa Al Ahkam pg : 576, Hadees No : 1961) Below Is Scan page
Imam Badrudin Ayni Rahmatullah Alaih Ne bhi Isko Sahih Qarar Diya Hai (Umdatul Qari Shara E Sahi Bukhari Vol : 05, Pg : 264, Print Darul Fikr Berut) Gair Mukallideen k Famous Scholor Mubarkpuri likhte hai Ye Hadees Sahi Hai (Mubarakpuri, Thofat ul Ahwazi, Vol: 03, Pg : 453) Is Hadith ko Imam Bayhaqi, Imam Faryabi aur Ibn e ja'd nain rawayat nain kiya. Aur Imam Faryabi nain farmaya k is hadith k Rijaal thiqah hain.

Hadees 04 :
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ حَسَنِ بْنِ صَالِحٍ ، عَنْ عَمْرِو بْنِ قَيْسٍ ، عَنِ أَبِي الْحَسْنَاءِ أَنَّ عَلِيًّا أَمَرَ رَجُلاً يُصَلِّي بِهِمْ فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً
Hazrat Abu Al Hasan رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  bayan karty hain k
"Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  nain ek shakhs ko ramzan main paanch (5) tarweehon main bees (20) rakat parhaany ka hukam diya."
Is Hadith ko Imam Ibn e Abi Shaibah aur Imam Bayhaqi nain rawayat kiya hay. Aur yeh Alfaaz Imam Bayhaqi k hain.
References : (Ibn e Abi Shaibah Al Musannaf, Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen, Vol : 5, Pg : 163,Hadees : 7763) (Imaam Bayhaqi As Sunan Al Kubra, Vol : 2, Pg : 497, Hadess : 4397) (Ibn e Abul Barr , At Tamheed, Vol : 08, Pg : 115) (Mubarakpuri , Tuhfatul Ahwazi Sharah Jami' Tirmidhi Vol : 03, Pg : 445) (Ibn e Qudamah Al Mughana Vol : 01, Pg : 456)
Hadees 05 :
حَدَّثَنَا حُمَيْدُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، عَنْ حَسَنٍ ، عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ بْنِ رُفَيْعٍ ، قَالَ كَانَ أُبَيّ بْنُ كَعْبٍ يُصَلِّي بِالنَّاسِ فِي رَمَضَانَ بِالْمَدِينَةِ عِشْرِينَ رَكْعَةً وَيُوتِرُ بِثَلاَثٍ.
Abdul Aziz bin Rafi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se marwi hai ki Ubay bin Ka’ab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ logo Ramzan me Madina Munawwara me 20 rakat padhate the aur 3 witr.
Reference :
(Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005. Page No. 224, Hadith Number 7766) Below Is Scan Page of Ibn Abi Shayba




Hadees 06:
أخبرنا أبو الحسن بن الفضل القطان ببغداد أنبأ محمد بن أحمد بن عيسى بن عبدك الرازي ثنا أبو عامر عمرو بن تميم ثنا أحمد بن عبد الله بن يونس ثنا حماد بن شعيب عن عطاء بن السائب عن أبي عبد الرحمن السلمي  عن على رضي الله عنه قال دعا القراء في رمضان فأمر منهم رجلا يصلي بالناس عشرين ركعة قال وكان علي رضي الله عنه يوتر بهم وروى ذلك من وجه آخر عن علي
Abdul rehman Sulami رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate hain ki Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Quran ke qari’een ko bulaya aur unme se ek ko 20 rakat padhane ka hukm diya. Jabki Hazrat Ali  رَضِیَ اللهُ عَنْهُanhu khud bhi 20 rakat padhte the.
Reference :
(Bayhaqi Sunan al-Kubra Vol 002, Pg . 699, Hadees : 4620) Hadees 07 :
عَنِ الْحَسَنِ أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ فِي قِيَامِ رَمَضَانَ، فَكَانَ يُصَلِّي بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَة
Hazrat Hasan Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  farmate hain ki Hazrat Umar farooq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne Ubay bin Ka’ab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ke piche logon ko Jama kiya aur 20 rakat padhi.
References :
Siyar al A'lam wa al Nubalah Volume 001, Page No. 400-1, Seerat Ubayy Ibn Kab
Imam al-Nawawi ne kaha: 'Iski sanad Sahih hai'. (بإسناد صحيح)
[Al-Khulasa al-Ahkam, Hadith Number 1961]
Hadees 08 :
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ نَافِعِ بْنِ عُمَرَ ، قَالَ كَانَ ابْنُ أَبِي مُلَيْكَةَ يُصَلِّي بِنَا فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً، وَيَقْرَأُ بِحَمْدِ الْمَلاَئِكَةِ فِي رَكْعَةٍ
Waki رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se marwi hai unhone Naafe bin Umar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat kiya wo farmate hain ki Ibn Abi Mulaika رَضِیَ اللهُ عَنْهُ hume ramzan me 20 rakat padhate the.
Reference :
[Musannaf Ibn Abi Shaybah Vol 05, Pg : 223, Hadees : 7765]
Hadees 09:
حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ ، عَنْ حَجَّاجٍ ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ ، عَنِ الْحَارِثِ أَنَّهُ كَانَ يَؤُمُّ النَّاسَ فِي رَمَضَانَ بِاللَّيْلِ بِعِشْرِينَ رَكْعَةً وَيُوتِرُ بِثَلاَثٍ وَيَقْنُتُ قَبْلَ الرُّكُوعِ Hazrat Haris رَضِیَ اللهُ عَنْهُ riwayat karte hain ki wo Ramzan me 20 rakat padhte the aur 3 rakat witr padhte the aur Ruku se pehle Qunut padhte the. Reference : [Musannaf Ibn Abi Shaybah Vol : 05, Pg : 224, Hadees : 7767]
Hadees 10 :
Imam Tirmizi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ka Nazariya :
وأَكْثَرُ أهْلِ العِلمِ على ما رُوِيَ عن عليٍّ وعُمر وغَيْرِهِمَا مِنْ أَصحابِ النبيِّ عِشْرِينَ رَكْعَةً. وَهُوَ قَوْلُ الثَّوْرِيِّ وابنِ المُبَارَكِ والشَّافِعيِّ رحمه الله. وقَالَ الشَّافِعيُّ: وهَكَذَا أدْرَكْتُ بِبَلَدِنَا بِمَكَّةَ، يُصَلُّونَ عِشْرِينَ رَكْعَةً
Ahle-Ilm ki ek Jamat 20 rakat padhne par muttafiq hai, jaisa ki ye Hazrat Usman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  aur RasoolALLAH صلى الله عليه و آله وسلم ke dusre sahaba se marwi hai. Sufiyan Sawri, Abdullah ibn Mubarak aur Imam shafaii Rahimullah Azmain ne bhi yehi kaha hai. Imam Sahafaii رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate hain ki Unhone Makka ke logon ko 20 rakat padhte hue dekha hai..
Reference :
(Sunan Tirmizi, Kitabus Sawm, Baab : Kiyam E Ramazan Vol : 03 Pg No. 169 Hadith No. 806) Scan Page of Imam Tirmizi is Below

प्रिय कमर जन सुविधा केन्द्र के पाठको हमारे द्वारा सभी जानकारी विभिन्न सम्बिन्धित योजना की आधिकारिक वेबसाइड तथा समाचार पत्रो से एकत्रित की जाती है। इन्ही सभी स्त्रोतो के माध्यम से हम आपको लोगो को सभी राज्य तथा केन्द्र सरकार की योजनाओं के बारे सही प्रकार की जानकारी प्रदान करते है और कमर जन सुविधा केंद्र सदेव यही प्रयास करता है की आपको अपडेटड खबरे और सत्य बात आप तक सबसे पहले पहुंचे योजना की आधिकारिक वेबसाइट पर एक बार विजिट कर सत्यापन करने की सलाह देते हैं|
Share:

Search This Blog

Contact Form

Name

Email *

Message *